aaya hai khayal-e-be-wafai kyun ji wahi guftugu phir aai o but na sunega koi meri kya teri hi ho gai khudai roko roko zaban roko dene na lago kahin duhai sahra mein hui guhar-fishani kaam aai meri barahna-pai chaha lekin na bach sake hum aakhir tegh-e-nigah khai toda kanton ne aablon ko barbaad hui meri kamai bosa hum aaj mangte hain karte hain qismat-azmai tauba-shikani shabab mein kar kab tak ai jaan-e-parsai kata din to tadap tadap kar aafat ki raat sar par aai rukhsat hai 'nasim' jald dekho kar lo gar ho sake bhalai