aaya hai subh nind sun uth rasmasa hua jama gale mein raat ke phulon basa hua kam mat gino ye bakht-siyahon ka rang-e-zard sona wahi jo howe kasauti kasa hua andaz sin ziyaada nipat naz khush nahin jo khal had se ziyaada badha so masa hua qamat ka sab jagat munin baala hua hai nam qad is qadar buland tumhaara rasa hua zahid ke qadd-e-kham kun musawwir ne jab likha tab click hath bich jo tha so asa hua dil yun dare hai zulf ka mara wo phunk sin rassi sin azhdahe ka dare jun dasa hua ai 'abru' awal sen samajh pech ishq ka phir zulf sin nikal na sake dil phansa hua