aaya tha koi zehn tak aa kar palaT gaya

aaya tha koi zehn tak aa kar palat gaya
lekin bisat-e-dil to hamari ulat gaya

hae wo sail-e-ashk jo palkon pe tham gaya
aankhon mein apni aaj samundar simat gaya

phailae hum khade rahe palkon ki jholiyan
aaya umad ke abr magar wo bhi chhat gaya

teri gali mein tera tasawwur kiye hue
ek shakhs aap sae se apne lipat gaya

dasht-e-hayat se koi guzra hai is tarah
gard-e-qadam se waqt ka chehra bhi at gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close