aazada-manish rah duniya mein parwa-e-ummid-o-bim na kar

aazada-manish rah duniya mein parwa-e-ummid-o-bim na kar
jab tak na milen fitrat ke qadam kham dekh sar-e-taslim na kar

sine mein hai us ke soz agar shaitan ke qadam le aankhon par
begana-e-dard-e-dil hai agar jibril ki bhi tazim na kar

kitni hi shuaen abr mein hon khurshid-e-junun par iman la
kitne hi dalael raushan hon danish ko kabhi taslim na kar

sanchon mein barabar dhalta ja raftar-e-jahan se pher na munh
tansikh to kya is daftar mein jina hai to kuchh tarmim na kar

ai 'josh' hujum-e-kulfat mein fariyaad o fughan se kaam na le
ghat jaega is se dil ka asar ajza-e-tapish taqsim na kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close