ab adhure ishq ki takmil hi mumkin nahin

ab adhure ishq ki takmil hi mumkin nahin
kya karen paigham ki tarsil hi mumkin nahin

kya use samjhaun kaghaz par lakiren khinch kar
jazba-e-benam ki tashkil hi mumkin nahin

aise mausam mein bhi sharh-e-dil kiye jata hun main
jab ki is ijmal ki tafsil hi mumkin nahin

kis jagah ungli rakhun kis harf ko kaise padhun
aayat-e-imkan teri tartil hi mumkin nahin

tohmat-e-ruswai kaise ishq par rakhta koi
aise kaamon mein to aisi dhil hi mumkin nahin

kunj-e-nisyan mein pade dhundla gae us ke nuqush
ab to us khush-rang ki tamsil hi mumkin nahin

aur bhi kuchh suraten ban jaengi ruswai ki
ishq mein 'tabish' faqat tazlil hi mumkin nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close