ab ahl-e-dil hain ki nayab hote jate hain

ab ahl-e-dil hain ki nayab hote jate hain
ghubar-e-khatir-e-ahbab hote jate hain

tumhaare aane se kuchh iztirab kam hota
ye kya ki aur bhi betab hote jate hain

sukun-maab samajhte the jin kinaron ko
simat ke halqa-e-girdab hote jate hain

hamein bhi raat ko din kahna aata jata hai
ki hum bhi hamil-e-adab hote jate hain

hamein mile na mile zindagi magar 'nikhat'
suna hai zist ke asbab hote jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close