ab bhi hudud-e-sud-o-ziyan se guzar gaya

ab ji hudud-e-sud-o-ziyan se guzar gaya
achchha wahi raha jo jawani mein mar gaya

palkon pe aa ke ruk si gai thi har ek mauj
kal ro liye to aankh se dariya utar gaya

tujh se to dil ke pas mulaqat ho gai
main khud ko dhundne ke liye dar-ba-dar gaya

sham-e-watan kuchh apne shahidon ka zikr kar
jin ke lahu se subh ka chehra nikhar gaya

aakhir bahaar ko to jo karna tha kar gai
ilzam-e-ehtiyat gireban ke sar gaya

zanjir matami hai tum ai aaqilan-e-shahr
ab kis ko puchhte ho diwana to mar gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close