ab chaman-zar hi apna hai na sahra apna

ab chaman-zar hi apna hai na sahra apna
kal har ek shakh pe mumkin tha basera apna

baam-o-dar tak na rahe ghar ke to ghar kya apna
ab falak bhi na hata le kahin saya apna

umr bhar jis ne zamane ki masihai ki
ban saka apne hi gham main na masiha apna

kis ke ghar jaun kise aaj main apna samjhun
apne ghar hi mein nahin koi shanasa apna

phir kasi mod pe ek roz pukaroge mujhe
chahe ab tod do dil se mere rishta apna

tum hamein harf-e-ghalat kah ke mita bhi na sake
ab bhi har lab pe sar-e-bazm hai charcha apna

sham ho jaegi ek roz to chalte chalte
sath lete chalen hum aaj ujala apna

sath sab chhod gae rah-e-mohabbat mein 'hayat'
sarf ek sath raha naqsh-e-kaf-e-pa apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close