ab haqiqat lag raha hai mera afsana mujhe sari duniya kah rahi hai tera diwana mujhe main utha to kaun honton se lagaega unhen muddaton dhunda karenge jam-o-paimana mujhe ye mohabbat ka asar hai ya mera diwana-pan sehn-e-gulshan sa nazar aata hai virana mujhe ai udasi kaun si manzil pe le aai hai tu apna chehra bhi nazar aata hai begana mujhe tute paimane shikasta jam aur tanhaiyan apne ghar jaisa hi ab lagta hai mai-khana mujhe jite-ji arman ye 'sahil' na pura ho saka mar ke shayad hi mayassar ho tera shana mujhe