ab is se pahle ki duniya se main guzar jaun main chahta hun koi nek kaam kar jaun khuda kare mere kirdar ko nazar na lage kisi saza se nahin main khata se dar jaun zaruraten meri ghairat pe tanz karti hain mere zamir tujhe mar dun ki mar jaun bahut ghurur hai bachchon ko meri himmat par main sar jhukae hue kaise aaj ghar jaun mere aziz jahan mujh se mil na sakte hon to kyun na aisi bulandi se khud utar jaun