ab is tarah sitam-e-rozgar hota hai

ab is tarah sitam-e-rozgar hota hai
qafas ke samne zikr-e-bahaar hota hai

khuda ke waste daman ka chaak sine do
kabhi kabhi to junun hoshiyar hota hai

wafa ka zikr hi kyun chhedte hain ahl-e-wafa
jab un ki khatir-e-nazuk pe bar hota hai

wo samne hon to aansu nikal hi jate hain
ye jurm wo hai jo be-ikhtiyar hota hai

main mutmain hun agarche kharab hai mahaul
khizan ke baad ka aalam bahaar hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close