ab ishq raha na wo junun hai tufan ke baad ka sukun hai ehsas ko zid hai dard-e-dil se kam ho to ye jaaniye fuzun hai ras aai hai ishq ko zabuni jis haal mein dekhiye zubun hai baqi na jigar raha na ab dil ashkon mein hunuz rang-e-khun hai izhaar hai dard-e-dil ka 'bismil' ilham na shairi fusun hai