ab kahan dost milen sath nibhane wale sab ne sikhe hain ab aadab zamane wale dil jalao ya diye aankhon ke darwaze par waqt se pahle to aate nahin aane wale ashk ban ke main nigahon mein teri aaunga ai mujhe apni nigahon se girane wale waqt badla to uthate hain ab ungli mujh par kal talak haq mein mere hath uthane wale waqt har zakhm ka marham to nahin ban sakta dard kuchh hote hain ta-umr rulane wale ek nazar dekh tu majburiyan bhi to meri ai meri laghzishon par aankh tikane wale kaun kahta hai bure kaam ka phal bhi hai bura dekh masnad pe hain masjid ko girane wale ye siyasat hai ki lanat hai siyasat pe 'sada' khud hain mujrim bane qanun banane wale