ab kisi ko kya bataen kis qadar nadan the hum wahin kashti ko le aae jahan tufan the kuchh tadapti aarzuen chand be-mani sawal karwan mein sab ke sar par bas yahi saman the hum ne is duniya ke mai-khane mein ye dekha fareb bas wahi pyase rahe jo sahib-e-iman the zalzalon par aa gaya ilzam achchha hi hua warna is takhrib ke pahle se bhi imkan the un ghamon ne dil mein sadiyon ke wasile kar liye jo faqat do-chaar din ke waste mehman the bas yahi sach hai ki hum ab un ki mahkumi mein hain jo 'nafas' apni haweli mein kabhi darban the