ab lab pe wo hangama-e-fariyaad nahin hai allah re teri yaad ki kuchh yaad nahin hai aati hai saba su-e-lahad un ki gali se shayad meri mitti abhi barbaad nahin hai allah bachae asar-e-zabt se un ko bedad to hai shikwa-e-bedad nahin hai apni hi badaulat hai nasheman ki kharabi minnat-kash-e-be-dardi-e-sayyaad nahin hai aamada-e-fariyaad-rasi hai wo sitamgar fariyaad ki ab taqat-e-faryaad nahin hai duniya mein dayar-e-dil-e-'fani' ke siwa hae koi bhi wo basti hai jo aabaad nahin hai