ab mera dard na tera jadu marg-e-amboh mein kya main kya tu koi aawaz na koi larzish az ufuq-ta-ba-ufuq aalam-e-hu halqa-e-dud bapa mauj-e-saba bujh gai sina-e-gul mein khushbu barg-e-nau-rasta hain dast-e-majzum zahr shakhon mein bani mauj-e-numu rakh ka dher hain wo log jo the gul-badan ghuncha-dahan ghaaliya-mu waqt ka mai-kada taswir-e-sukut sang be-zarb tab aazurda subu tai hua marhala-e-bim-o-raja nist hi nist hai ya-hu ya-hu