ab mohabbat na fasana na fusun hai yun hai sahab-e-dasht to kahta tha ki yun hai yun hai pas-e-girya koi deta hai tasalli tujh ko ye jo ai dil tujhe be-wajh sukun hai yun hai 'mir'-sahib hi nahin us se pare baithte hain jo bhi shaista-e-adab-e-junun hai yun hai zindagi-bhar mein koi sher to aisa hota main bhi kahta jo mera zakhm-e-darun hai yun hai nist mein hast ka ehsas dilati hui aankh shor karti hai ki hai kun-fayakun hai yun hai