ab nind kahan aaankhon mein shoala sa bhara hai

ab nind kahan aaankhon mein shoala sa bhara hai
ye tapte hue honton ko takne ki saza hai

aashob jahan-guzaran ne ye kiya hai
is daur ka har fard-o-bashar aabla-pa hai

ai shabnam-e-giryan tujhe is ka bhi pata hai
kaliyon ka tabassum bhi bahut dard-numa hai

har ahl-e-hawas zinat-e-khalwat-kada-e-naz
har ahl-e-wafa aaj sar-e-dar khada hai

ek nur-e-mujassam ke parastar hain 'akhtar'
hum kah nahin sakte hain wo but hai ki khuda hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close