ab qabile ki riwayat hai bikharne wali

ab qabile ki riwayat hai bikharne wali
har nazar khud mein koi shahr hai bharne wali

khush-gumani ye hui sukh gaya jab dariya
ret se ab meri kashti hai ubharne wali

khushbuon ke nae jhonke hain har ek dhadkan mein
kaun si rut hai mere dil mein thaharne wali

kuchh parinde hain magan mausami parwazon mein
ek aandhi hai par-o-baal katarne wali

hum bhi ab sikh gae sabz pasine ki zaban
sang-zaron ki jabinen hain sanwarne wali

tez dhun par the sabhi raqs mein kyun kar sunte
chand lamhon mein balaen thin utarne wali

bas usi waqt kai jwala-mukhi phut pade
motiyon se meri har naw thi bharne wali

dhak liya chand ke chehre ko siyah baadal ne
chandni thi mere aangan mein utarne wali

dafatan tut pade chand bagule 'amabar'
khushbuen thin meri basti se guzarne wali


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close