ab tak lahu ka zaiqa KHanjar pe naqsh hai

ab tak lahu ka zaiqa khanjar pe naqsh hai
ye kis ka nam dast-e-sitam-gar pe naqsh hai

barish bhi aaftab ka daman na dho saki
kuchh gard ab bhi dhup ke shahpar pe naqsh hai

tera hi aks raat ke aaine mein asir
tera hi khwab nind ke bistar pe naqsh hai

jis ko tere labon ka tasawwur na dho sake
wo talkhi-e-hayat bhi saghar pe naqsh hai

aangan se dastakon ki sada laut aaegi
viraniyon ka nam har ek ghar pe naqsh hai

pani ki ye lakir nahin hai jo mit sake
shishe ki dastan to patthar pe naqsh hai

jakda hua hai pichhle janam ke hisar mein
mazi ka saneha dil-e-'akhtar' pe naqsh hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close