ab TuTne hi wala hai tanhai ka hisar

ab tutne hi wala hai tanhai ka hisar
ek shakhs chikhta hai samundar ke aar-par

aankhon se rah nikli hai tahtush-shuur tak
rag rag mein rengta hai sulagta hua khumar

girte rahe nujum andhere ki zulf se
shab bhar rahin khamoshiyan sayon se ham-kanar

diwar-o-dar pe khushbu ke haale bikhar gae
tanhai ke farishton ne chumi qaba-e-yar

kab tak pade rahoge hawaon ke hath mein
kab tak chalega khokhle shabdon ka karobar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close