ab udas phirte ho sardiyon ki shamon mein is tarah to hota hai is tarah ke kaamon mein ab to us ki aankhon ke mai-kade mayassar hain phir sukun dhundoge sagharon mein jamon mein dosti ka dawa kya aashiqi se kya matlab main tere faqiron mein main tere ghulamon mein zindagi bikharti hai shaeri nikharti hai dilbaron ki galiyon mein dil-lagi ke kaamon mein jis tarah 'shoeb' us ka nam chun liya tum ne us ne bhi hai chun rakkha ek nam namon mein
This is a great sardiyon ki shayari. True lovers of shayari matlab ki duniya will love this. Please share if you liked this!!!