ab us ki yaad satane ko bar bar aae wo zindagi jo tere shahr mein guzar aae ye bebasi bhi nahin lutf-e-ikhtiyar se kam khuda kare na kabhi dil pe ikhtiyar aae qadam qadam pe gulistan khile the raste mein ajib log hain hum bhi ki su-e-dar aae na chahchahe na surud-e-shaguftagi na mahak kise ab aisi bahaaron pe e'tibar aae junun ko ab ke gareban se kya milega ki hum ba-faiz-e-mausam-e-gul pairahan utar aae teri lagan ne zamane ki khak chhanwai teri talab mein tamam aarzuen haar aae ye fakhr kam to nahin ku-e-yar mein 'nikhat' na sharmsar gae the na sharmsar aae