ab wo tufan hai na wo shor hawaon jaisa dil ka aalam hai tere baad khalaon jaisa kash duniya mere ehsas ko wapas kar de khamushi ka wahi andaz sadaon jaisa pas rah kar bhi hamesha wo bahut dur mila us ka andaz-e-taghaful tha khudaon jaisa kitni shiddat se bahaaron ko tha ehsas-e-maal phul khil kar bhi raha zard khizaon jaisa kya qayamat hai ki duniya use sardar kahe jis ka andaz-e-sukhan bhi ho gadaon jaisa phir teri yaad ke mausam ne jagae mahshar phir mere dil mein utha shor hawaon jaisa barha khwab mein pa kar mujhe pyasa 'mohsin' us ki zulfon ne kiya raqs ghataon jaisa