abhi hai dhyan kahan wasl ke farizon par abhi wo kadhti phirti hai dil qamizon par qayam karta hun akasr main dil ke kamre mein ki jam na jae kahin gard us ki chizon par yahi to log masiha hain zindagani ke hazar rahmaten hon ishq ke marizon par kisi anar-kali ke khayal mein ab tak ghulam-gardishen matam-kunan kanizon par jala rahi hai mere baadalon ke pairahan phuwar girti hui malmalin qamison par ghazal kahi hai kisi be-charagh lamhe mein shab-e-firaq ke kajal-zada azizon par ki kis dayar mein rahna hai kis ne kitne din musafiron ke ye likkha gaya hai wison par wo ghaur karti rahi hai tamam din 'mansur' mere libas ki uljhi hui krizon par