abhi maujud thi lekin abhi gum ho gai hai

abhi maujud thi lekin abhi gum ho gai hai
na jaane kis jahan mein zindagi gum ho gai hai

mere hamrah kyun wo shakhs chalna chahta hai
safar ke josh mein kya aagahi gum ho gai hai

sabhi khush hain ki sare gum-shuda phir mil gae hain
mujhe gham hai ki ab teri kami gum ho gai hai

mere honton ko dariya ne kiya sairab lekin
hayat-afroz dil ki tishnagi gum ho gai hai

main us se muddaton ke baad dobara dobara mila hun
khushi to hai magar waraftagi gum ho gai hai

ye kin tishna-labon ki fauj guzri hai idhar se
kahin kuchh kam kahin puri nadi gum ho gai hai

hamesha jo mujhe izn-e-sukhan deti rahi thi
hujum-e-shor mein wo khamushi gum ho gai hai

main us ki yaad se bas ek pal ko gum hua tha
magar lagta hai jaise ek sadi gum ho gai hai

ba-taur-e-rasm hi kar-e-junun baqi hai mujh mein
wagarna dasht se wabastagi gum ho gai hai

'salim' us mein ziyaada farq to ab bhi nahin hai
bas itna hai ki thodi sadgi gum ho gai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close