abhi se aa gain nam-e-khuda hain shokhiyan kya-kya meri taqdir ban ban kar badalti hai zaban kya-kya mujhe gardish mein rakhti hai nigah-e-dil-sitan kya-kya meri qismat dikhati hai mujhe nairangiyan kya-kya nigahon mein haya hai aur haya mein hai nihan kya-kya tabiat mein basi hain khair se ranginiyan kya-kya faqat ek sadgi par shokhiyon ke hain guman kya-kya ada-e-khamushi mein bhar diya rang-e-bayan kya-kya dil-e-khun-gashta-e-hasrat ne kya kuchh gul khilae hain bahaar-agin hai kuchh ab ki baras fasl-e-khizan kya-kya nigahen bad-gumani se kahan ja-ja ke ladti hain meri aankhon mein hain dushman ki bazm-araiyan kya-kya tasawwur mein visal-e-yar ke saman hote hain hamein bhi yaad hain hasrat ki bazm-araiyan kya-kya abhi se ban gai mushkil abhi to dur hai manzil mujhe ruswa karengi dekhiye betabiyan kya-kya wo jitne dur khinchte hain talluq aur badhta hai nazar se wo jo pinhan hain to dil mein hain ayan kya-kya