abhi se aafat-e-jaan hai ada ada teri ye ibtida hai to kya hogi intiha teri meri samajh mein ye qatil na aaj tak aaya ki qatl karti hai talwar ya ada teri naqab lakh chhupae wo chhup nahin sakti meri nazar mein jo surat hai dilruba teri lahu ki bund bhi ai tir-e-yar dil mein nahin ye fikr hai ki tawazo karun main kya teri sungha rahi hai mujhe ghash mein nikhat-e-gesu khuda daraaz kare umr ai saba teri ada pe naz to hota hai sab hasinon ko faza ko naz hai jis par wo hai ada teri 'jalil' yar ke dar tak guzar nahin na sahi hazar shukr ki hai us ke dil mein ja teri