abhi to mausam-e-na-khush-gawar aaega phir is ke baad payam-e-bahaar aaega khulus-e-ahd-e-wafa sazgar aaega kabhi to marhala-e-e'tibar aaega jis anjuman mein dilon ke qarar lutte hain us anjuman mein pahunch kar qarar aaega lab-e-shagufta-o-mai-pash par shagufon par karoge ghaur jahan tak nikhaar aaega yahi hai bazm-e-tarab-afrin to jata hun ye chaara-gar ne kaha tha qarar aaega sawal-e-besh-o-kam-e-mai nahin magar saqi kabhi tujhe bhi shuur-e-shumar aaega pukarne pe jab aaya to tera diwana kisi bhi nam se tujh ko pukar aaega nisar-e-husn-e-mohabbat rahi hai dekhoge kali ke sath hi shakhon pe khar aaega jo hai mizaj-e-bahaar-e-chaman se na-waqif bara-e-sair-e-chaman bar bar aaega jinhen qayas-o-shawahid se wasta hai unhen yaqin-e-gardish-e-lail-o-nahaar aaega ye pukhta-kar taghazzul khayal ke bal par ghazal ke shar-e-qafas mein guzar aaega
Please share if you liked this!!!