abr ka tukda koi baala-e-baam aata hua mere ghar bhi sabz mausam ka payam aata hua dhup ki bujhti tamazat ki sipar leta chalun phir ufuq se dhire dhire waqt-e-sham aata hua phir dar-e-dil par hui hain raushni ki dastaken phir sitara sa koi baala-e-baam aata hua ek mubham sa tasawwur ek be-chehra sa nam meri tanhai mein aksar mere kaam aata hua koi qatre mein samundar dekh kar sairab hai koi dariya se musalsal tishna-kaam aata hua