achchha hua ki dam shab-e-hijran nikal gaya dushwar tha ye kaam par aasan nikal gaya bak bak se nasehon ki hua ye to faeda main ghar se chaak kar ke gireban nikal gaya phir dekhna ki khizr phirega baha baha gar su-e-dasht main kabhi giryan nikal gaya khubi safa-e-dil ki hamari ye jaaniye sine ke par saf jo paikan nikal gaya hangame kaise rahte hain apne sabab se wan hum se hi nam-e-kucha-e-jaanan nikal gaya furqat mein kar-e-wasl liya wah wah se har aah-e-dil ke sath ek arman nikal gaya behtar hua ki aae wo mahfil mein be-naqab 'arif' ghurur-e-mah-e-jabinan nikal gaya