adab ne dil ke taqaze uthae hain kya kya hawas ne shauq ke pahlu dabae hain kya kya na jaane sahw-e-qalam hai ki shahkar-e-qalam bala-e-husn ne fitne uthae hain kya kya nigah dal di jis par wo ho gaya andha nazar ne rang-e-tasarruf dikhae hain kya kya isi fareb ne mara ki kal hai kitni dur is aaj kal mein abas din ganwae hain kya kya pahad katne wale zamin se haar gae isi zamin mein dariya samae hain kya kya guzar ke aap se hum aap tak pahunch to gae magar khabar bhi hai kuchh pher khae hain kya kya buland ho to khule tujh pe zor pasti ka bade-badon ke qadam dagmagae hain kya kya khushi mein apne qadam chum lun to zeba hai wo laghzishon pe meri muskurae hain kya kya khuda hi jaane 'yagana' main kaun hun kya hun khud apni zat pe shak dil mein aae hain kya kya