adam mein rahte to shad rahte use bhi fikr-e-sitam na hota

adam mein rahte to shad rahte use bhi fikr-e-sitam na hota
jo hum na hote to dil na hota jo dil na hota to gham na hota

if i had been in nothingness, my heart would not complain
were i not here, there'd be no heart and with no heart no pain

hui khajalat se nafrat afzun gile kiye khub aakhirin dam
wo kash ek dam thahar ke aate ki mere lab par bhi dam na hota

her hatred roz when her complaints shamed me so close to death
if only she would have delayed, there would have been no breath

pada hi marna bas ab to hum ko jo us ne khat padh ke nama-bar se
kaha ki gar sach ye haal hota to daftar itna raqam na hota

i have to die now, as she bids the messenger explain
how could he pen such lengthy tomes if was truly in pain

kisi ke jalne ka dhyan aaya wagarna dud-e-fughan se mere
agar hazaron sipehr bante tumhaari aankhon mein nam na hota

you thought of someone else's pain, else smoke of my lament
would not bring tears to your eyes, however dense it went

jo aap dar se utha na dete kahin na karta main jabha-sai
agarche ye sarnawisht mein tha tumhaare sar ki qasam na hota

had you not bid me rise and leave, i wouldn't bow elsewhere
if even were my destiny, it would not be i swear

visal ko hum taras rahe the jo ab hua to maza na paya
adu ke marne ki jab khushi thi ki us ko ranj-o-alam na hota

when union, that i yearned for, came, no pleasure i received
i would be glad at my foe's death, if only she'd not grieved

jahan-e-tang o hujum-e-wahshat gharaz ki dam par buri bani thi
kahan main jata na ji thaharta kahin jo dasht-e-adam na hota

constriction of this world and throngs of frenzy caused me grief
weren't it for wilderness of death where would i find relief

magar raqibon ne sar uthaya ki ye na hota to be-murawwat
nazar se zahir haya na hoti haya se gardan mein kham na hota

perchance my rivals stared at her, for else, in no event
would coyness in her eyes appear, or would her neck be bent

wahan taraqqi jamal ko hai yahan mohabbat hai roz-afzun
sharik-e-zeba tha bul-hawas bhi jo bewafai mein kam na hota

there beauty does ever increase, here love does daily grow
the lecher faithless in intent, does bathe too in her glow

ghalat ki sanea ko ho gawara kharash-e-angusht-ha-e-nazuk
jawab-e-khat ki ummid rakhte jo qaul-e-juffil-qalam na hota

the maker too would not accept her dainty finger bruised
thus a response i didn’t expect, lest by a quill contused

ye be-takalluf phira rahi hai kashish dil-e-ashiqan ki us ko
wagarna aisi nazakaton pe khiram-e-naz ek qadam na hota

attracted by her lover's heart, she roams without a care
for else her feet so frail and soft, nary a step would dare

visal to hai kahan mayassar magar khayal-e-visal hi mein
maze udate hawas nikalti jo sath andaz-e-ram na hota

where else could union be obtained except in reverie
in dreams desires i would sate, did she not coyly flee

hua musalman main aur dar se na dars-e-waiz ko sun ke 'momin'
bani thi dozakh bala se banti azab-e-hijr-e-sanam na hota

muslim momin turned in fear , not on the priest's advice
parting's pain i could not bear, of hell didn't care a trice


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close