afsos kya jo hum bhi tumhaare nahin rahe

afsos kya jo hum bhi tumhaare nahin rahe
tum bhi kisi ke ho ke hamare nahin rahe

ab shikwa-e-fareb-e-mohabbat na kijiye
hum bhi kisi ki aankh ke tare nahin rahe

ye husn-e-ittifaq hai phir mil gae hain wo
ye aur baat hai ki hamare nahin rahe

tum bhi talluqat ki had se guzar gae
hum bhi kisi ko jaan se pyare nahin rahe

jab se chale gae wo bahaaron ko lut kar
husn-e-bahaar ke wo nazare nahin rahe

hum jin ke ho gae the zamane ko chhod kar
qismat to dekhiye wo hamare nahin rahe

sher-o-sukhan ki mahfilon ki raunaqen gain
chhajje nahin rahe wo chaubare nahin rahe

meri murad ka hai safina bhi na-murad
tufan ruk gaya to kinare nahin rahe

wo chashm-e-sharmgin ki fusun-kariyan gain
wo chashm-e-surmagin ke ishaare nahin rahe

shaalon mein ishq ke bhi wo chingariyan nahin
bas aag rah gai hai sharare nahin rahe

jate hue wo sabr-o-sukun sath le gaya
bahte hue sukun ke dhaare nahin rahe

ranai-e-jamal-e-gul-afshan ki khair ho
ab husn-e-dilruba ke nazare nahin rahe

dil ko tha ibtida-e-mohabbat mein jin pe naz
wo apni zindagi ke sahaare nahin rahe

be-nur kar gaya koi duniya ko 'soz' ki
wo chand chhup gaya wo sitare nahin rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close