agar apni chashm-e-nam par mujhe ikhtiyar hota to bhala ye raaz-e-ulfat kabhi aashkar hota hai tunuk-mizaj sayyaad kuchh apna bas nahin hai main qafas ko le ke udta agar ikhtiyar hota ye zara si ek jhalak ne dil o jaan ko yun jalaya teri barq-e-husn se phir koi kya do-chaar hota aji tauba is gareban ki bhala bisat kya thi ye kaho ki hath uljha nahin tar-tar hota wo na aate fatiha ko zara mud ke dekh lete to hujum-e-'yas' itna na sar-e-mazar hota