agar hai ret ki diwar dhyan TuTega

agar hai ret ki diwar dhyan tutega
ye hausla na pas-e-imtihan tutega

jahan jahan bhi mera nam hai fasane mein
wahan wahan tera zor-e-bayan tutega

tasawwuraat ke ghar mein khamosh baitha hun
tum aaoge to khayali makan tutega

kasif dhup se jal jaega hasin badan
meri umid ka jab saeban tutega

ajib karb mein dubi hui sada hogi
ghurur jab tera ban kar chatan tutega

na ras aaegi jab hum ko mauj-e-sail-e-rawan
hamari kashti pe jab baadban tutega

mujhe yaqin tere jalwe fareb de denge
meri nigah ka jab bhi guman tutega

ye zulm-o-jaur ke aiwan phir kahan honge
ye be-sutun agar aasman tutega

sawad-e-manzil-e-idrak paega 'rahi'
nishan ban ke agar be-nishan tutega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close