agar kaba ka rukh bhi jaanib-e-mai-khana ho jae to phir sajda meri har laghzish-e-mastana ho jae wahi dil hai jo husn-o-ishq ka kashana ho jae wo sar hai jo kisi ki tegh ka nazrana ho jae ye achchhi parda-dari hai ye achchhi raazdari hai ki jo aae tumhaari bazm mein diwana ho jae mera sar kat ke maqtal mein gire qatil ke qadmon par dam-e-akhir ada yun sajda-e-shukrana ho jae teri sarkar mein laya hun dali hasrat-e-dil ki ajab kya hai mera manzur ye nazrana ho jae shab-e-furqat ka jab kuchh tul kam hona nahin mumkin to meri zindagi ka mukhtasar afsana ho jae wo sajde jin se barson hum ne kabe ko sajaya hai jo but-khane ko mil jaen to phir but-khana ho jae kisi ki zulf bikhre aur bikhar kar dosh par aae dil-e-sad-chaak uljhe aur ulajh kar shana ho jae yahan hona na hona hai na hona ain hona hai jise hona ho kuchh khak-e-dar-e-jaanana ho jae sahar tak sab ka hai anjam jal kar khak ho jaana bane mahfil mein koi shama ya parwana ho jae wo mai de de jo pahle shibli o mansur ko di thi to 'bedam' bhi nisar-e-murshid-e-mai-khana ho jae
Please share if you liked this!!!