agar wo gul-badan dariya nahane be-hijab aawe

agar wo gul-badan dariya nahane be-hijab aawe
tajjub nahin ki sab pani sati bu-e-gulab aawe

jidhan dekhun bahaaran mein nashat-e-bulbul-o-qumri
mujhe us waqt be-shak yaad ayyam-e-shabab aawe

mera afsana o afsun tere kan sabz kyunke ho
siyah mizhgan tumhaari dekh ke sabze kun khwab aawe

meri ankhiyan phadakti hain yaqin hai dil manin yaran
ki name kun piyare ke kabutar le shitab aawe

siyah-mastan ke aage sin nikalna hai nipat mushkil
agar hoshyar tujh ankhiyan ke tain dekhe kharab aawe

darang ek dam nahin lazim judai sin phadakta hai
kaho ja kar khush-abru kun ki 'yakru' kan shitab aawe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close