agarche hadse guzre hain paniyon ki tarah

agarche hadse guzre hain paniyon ki tarah
khamosh rah gae hum log sahilon ki tarah

kisi ke samne main kis liye zaban kholun
mili hai apni ana mujh ko dushmanon ki tarah

tere baghair nazar aae hain mujhe aksar
makan ke dar-o-diwar qatilon ki tarah

na jaane kaun si manzil ko chal diye patte
bhatak rahi hain hawaen musafiron ki tarah

hamin ne khol ke lab ruh phunk di warna
tamam harf the be-jaan pattharon ki tarah

main ro raha tha shab-e-gham ki zulmaton se bahut
khuda ka shukr jale zakhm mishalon ki tarah

yahi to 'kaif' hasad hai ki dil bhi yaron ke
siyah ho gae likkhe hue khaton ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close