agarche maine likhin usko arziyan bhi bahut

agarche main ne likhin us ko arziyan bhi bahut
udain us ne magar un ki dhajjiyan bhi bahut

milega faeda kuchh zist ke safar mein mujhe
agarche is mein hai adnesha-e-ziyan bhi bahut

mere qarib jab aaoge jaan jaoge
buraiyan hain agar mujh mein khubiyan bhi bahut

bade dukhon mein guzari hai zindagi phir bhi
jahan main chhodi hain hum ne kahaniyan bhi bahut

dikhai dete hain kuchh phul ab bhi shakhon par
bikher di hain hawaon ne pattiyan bhi bahut

ye aur baat hai mahfuz bijliyon se na the
meri nigah mein the yun to aashiyan bhi bahut

hamari dosti ai dost shak ki zad mein hai
hain qurbaten bhi bahut hum mein duriyan bhi bahut

masarraton ki talab mein jo ghar se nikla tha
usi ke hisse mein aaen udasiyan bhi bahut

abhi to habs hai mushkil hai sans lena bhi
hawa chali to phir aaengi aandhiyan bhi bahut

ghazab ka husn sahi teri sadgi mein magar
pasand hain mujhe ai dost shokhiyan bhi bahut

mera khayal hai pa lunga main 'rashid' use
mere khayal mein lekin hain khamiyan bhi bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close