agarche mujh ko judai teri gawara nahin siwae is ke magar aur koi chaara nahin khushi se kaun bhulata hai apne pyaron ko qusur is mein zamane ka hai tumhaara nahin tumhaare zikr se yaad aae kya ghata ke siwa hamare pas koi aur istiara nahin ye iltifat ki bhik apne pas rahne de tere faqir ne daman kabhi pasara nahin mera to sirf bhanwar tak safina pahuncha hai tujhe to dubne walon ne bhi pukara nahin har ek rabt tere waste se tha warna bhare jahan mein koi aashna hamara nahin jo teri did ne bakhshe wahi hain zakhm bahut ab apne dil mein koi hasrat-e-nazara nahin bana sakun jise jhumar tumhaare mathe ka falak pe aaj bhi aisa koi sitara nahin chalae jao 'qatil' apna karobar-e-wafa jo is mein jaan bhi jae to kuchh khasara nahin