ahbab bhi hain KHub ki tashhir kar gae

ahbab bhi hain khub ki tashhir kar gae
mera sukut ishq se tabir kar gae

jadu-asar the hont ki saghar ko chum kar
kuchh aur hi sharab ki tasir kar gae

har uzw jaise jism ka tha bolta hua
lahrae us ke hath ki taqrir kar gae

az-baam ta-ba-mai-kada gesu dhuan dhuan
aalam tamam halqa-e-zanjir kar gae

tahrir-e-khatt-e-jam se sab wa hue rumuz
hum uqda-e-miyan ki tadbir kar gae

han katiban-e-nama-e-amal ko thi kad
kuchh aur meri fard mein tahrir kar gae

'sahba' wo ek lafz tha diwar ka likha
hum jo mite to ishq ki tauqir kar gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close