ahl-e-dil gar jahan se uThta hai

ahl-e-dil gar jahan se uthta hai
ek jahan jism o jaan se uthta hai

chalo ai ham-raho ghanimat hai
jo qadam is jahan se uthta hai

jama rakhte nahin, nahin malum
kharch apna kahan se uthta hai

gar naqab us ke munh se utthi nahin
shor kyun karwan se uthta hai

wae be-taqati o be-sabri
parda jab darmiyan se uthta hai

phir wahin gir pade hai parwana
gar tuk ek shama-dan se uthta hai

qissa-e-'mushafi' suna kar yar
ishq is dastan se uthta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close