ahl-e-dil milte nahin ahl-e-nazar milte nahin

ahl-e-dil milte nahin ahl-e-nazar milte nahin
zulmat-e-dauran mein khurshid-e-sahr milte nahin

manzilon ki justuju ka tazkira be-sud hai
dhundne niklo to ab apne hi ghar milte nahin

aadmi tukdon ki surat mein hua hai muntashir
wahdat-e-fikr-o-nazar wale bashar milte nahin

raste raushan hain aasar-e-safar madum hain
bastiyan maujud hain diwar-o-dar milte nahin

zauq-e-nazzara dilon mein dafn ho kar rah gaya
aankh walon mein bhi ab ahl-e-nazar milte nahin

badh gae hain is qadar qalb o nazar ke fasle
sath ho kar ham-safar se ham-safar milte nahin

zehn ki chatyal zamin se aanch aati hai 'zahir'
ab yahan ehsas ke rangin shajar milte nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close