ai dil sharik-e-taifa-e-wajd-o-haal ho

ai dil sharik-e-taifa-e-wajd-o-haal ho
pyare ye aib hai to ba-hadd-e-kamal ho

'shibli'-o-'bayazid'-o-'gurunanak'-o-'kabir'
hangama-e-jalal mein raqs-e-jamal ho

sab ki zaban pe mast-kalandar ho dam-ba-dam
phir us ke baad raat mein dat kar dhamal ho

phir ham-safar karen taraf-e-la-jehat
ne sharq-o-gharb ho na junub-o-shumal ho

aasan ruju-e-shams hai lekin tere malang
pahunchen wahan jahan se palatna muhaal ho

ek kaenat-e-khwab ba-sad mumkinat-e-khwab
nairangi-e-khayal ba-husn-e-khayal ho

sarshaar-o-sarbuland-o-siyah-mast-o-sarfarosh
mahaul apne haal mein gum ho wo haal ho

gita ka tazkira ho to gautam se guftugu
aur wed ki zaban mein jawab-o-sawal ho

ai khizr-e-waqt majlis-e-aqtab-e-waqt mein
zikr-e-moamla ho na fikr-e-maal ho

hum yun rawan hon rah-e-abad mein ki sadd-e-rah
mustaqil-e-wajud na mazi-o-haal ho

kya kya tasawwuraat hain kya kya takhaiyyulat
aisa na ho ki ye bhi tilism-e-khayal ho

sab kuchh hai gar tilism-e-khayal-o-fusun to phir
ai dil sharik-e-taifa-e-wajd-o-haal ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close