ai hazrat-e-isa nahin kuchh ja-e-suKHan ab

ai hazrat-e-isa nahin kuchh ja-e-sukhan ab
wo aa gae rakhwaiye tah kar ke kafan ab

sincha gaya phula hai nae sar se chaman ab
ashkon ne kiye sabz mere dagh-e-kuhan ab

wo shauq-e-asiri khule gesu ke shikan ab
tarsenge qafas ke liye murghan-e-chaman ab

khamoshi ne madum kiya aur dahan ab
tum hi kaho baqi rahi kya ja-e-sukhan ab

yaran-e-watan ko hai gharibon se kinara
ghurbat ka taqaza hai karo tark-e-watan ab

sun lijiye kuchh qissa-e-betabi-e-dil ko
jo ji mein ho kah lijiye phir mushfiq-e-man ab

simab banaya but-e-hijran ne jigar ko
dil thaharne deti nahin sina ki jalan ab

aakhir koi had bhi teri ai duri-e-ghurbat
mayus hue jate hain yaran-e-watan ab

kya fikr hai ai 'shola' piyo baada-e-rangin
dalo bhi kahin bhad mein ye ranj-o-mehan ab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close