ai mauj-e-saba soz-e-mujassam use kahna mumkin hai wo puchhe mera aalam use kahna chaha mere haalat ne paiham use kahna lekin na hui pyar ki lau kam use kahna ek hum hi nahin shaki-e-alam use kahna ab ahl-e-tarab ko bhi hai ye gham use kahna shayad kabhi pad jae kisi taur zarurat milte hain sar-e-rahguzar hum use kahna tu kis liye naraaz hua ahl-e-wafa se duniya to hamesha se hai barham use kahna kahna to bahut kuchh hai magar maslahat-e-waqt be-ab se hain shoala-o-shabnam use kahna mana ki mere dam se nahin bazm ki raunaq phir bhi to ghanimat hai mera dam use kahna