ai mere zakhm-e-dil-nawaz gham ko khushi banae ja aaankhon se khun bahae ja honton se muskurae ja jaane se pahle bewafa shab ko sahar banae ja dil ko bujha ke kya chala shama ko bhi bujhae ja sans ka tar tut jae tute na tar aah ka ek hi lai pe gae ja ek hi dhun bajae ja hukm-e-talab ke muntazir shauq ki aabru na kho sar ko qadam bana ke chal aaankhon se be-bulae ja le wo dawa-e-talkh hai jis ka asar hai khush-gawar pine mein munh banae ja dil mein maze uthae ja joshish-e-chashm-e-ashk-bar muft na rakh karam ka bar meri lagi to bujh chuki apni lagi bujhae ja manzil-e-be-khudi-e-shauq hadd-e-nazar se dur hai pichhe palat ke bhi na dekh aage qadam badhae ja ek hama-tan hai pa-e-naz ek hama-tan sar-e-niyaz ye to chalan jahan ka hai jitna de dabae ja zarf-e-sharab tere pas zuruf-e-surur mere pas dil to nahin ba-qadr-e-jam dekh na munh pilae ja donon hain naz-e-dilbari zid mein hai jin ki aur lutf ek taraf lagae ja ek taraf bujhae ja chand mein gum chakor khud chand kahin chhupa hua apni talash khatm kar us ka pata lagae ja 'arzu' us se kah do saf gham ka asar hai der-pa jald hansi na aaegi aur abhi gudgudae ja