ai meri jaan-e-arzu mane-e-iltifat kya

ai meri jaan-e-arzu mane-e-iltifat kya
hoga na waqf-e-dil kabhi kaif-e-tabassumat kya

mast-e-nazar agar nahin saghar-e-dil mein baada-rez
bazm-e-nawazishat kya daur-e-tawajjohat kya

kab se hain rind muntazir chashm-e-karam pe hai nazar
shokh nigah ke liye wajh-e-takallufat kya

dhundti phirti hai nazar shahid-e-bazm-e-naz ko
us ko magar khabar nahin kaif-e-tasawwuraat kya

husn-e-talab ye hai ki tu us se usi ko mang le
us ke siwa hayat kya maqsad-e-kaenat kya

apne hi dil ki bazm mein us ka jamal dekhiye
dida-e-shauq ke liye aur harim-e-zat kya

shauq-o-talab se 'taj' ab aalam-e-iztirab hai
ek zara se dil mein ye shorish-e-kaenat kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close