ai nigah-e-dost ye kya ho gaya kya kar diya pahle pahle raushni di phir andhera kar diya aadmi ko dard-e-dil ki qadr karni chahiye zindagi ki talkhiyon mein lutf paida kar diya us nigah-e-shauq ki tira-afagni rakkhi rahi main ne pahle us ko majruh-e-tamasha kar diya un ki mahfil ke tasawwur ne phir un ki yaad ne mere gham-khana ki raunaq ko do-baala kar diya mai-kade ki sham aur kanpte hathon mein jam tishnagi ki khair ho ye kis ko ruswa kar diya